सोमवार, 25 मई 2009

kal raat sone ko
takiey par rakhtei hi sar

soch jag gayi ik
mujhei jagane ko

kaun hoon
kahaan se aayi
kis duniya mein hai ghar
kyoon itni alag
itni akeli hoon
mein kaun

duniya meri mein
to hai bus
ek rooh jo basti sub mein
us rooh ki rachna hein hum sub
preet ke dhage meinpiroiey
alagalg moti hein hum
jhankei sub ki akhiyoonse WOH
bole meethei bol bhi WOH
kaayaa US ki chole sub ko
dil dharkaye dharkanWOH
ambar se barse kripa US ki
ban kar boondein oos ki jo
badal dhotei mehar ka pani
jub kub tub tub barsa dein
meharUS ki rim-jhim jo
hawain behti bhar bhar jholi pyaar ki lo
preet basi hei har kaya mein
kar dekho mehsoos to
ishq ishq karti khushboo phoolon ki
har su
dekho to
aajao ki bas rahein is duniya mein
ho rahein pee kar
amrit naam hum do

कोई टिप्पणी नहीं: