abhi juda huei he nah thei jaise
aaj sadeeyoon se pehle
janamo ke pare
barsoon purana milan phir hua
naya jawan pehla sa pyaar
jaisa kabhi hua na tha
najane kub kahaan
kyoon kaise chuta tera haath
kis mele mein kho gaya tera saath
aaj is bheer mein
is patheroon ki duniya mein
is endheri raat mein
is andhee duniya mein
jahaan haath ko na sujhe haath
dhund liya tere dil ki dharkanoo ne mera haath
rakh diya jo is seene par
cheir gayee jeewan ke taroon mein aise jhankaar
bhole geet sub loat aye
dil dharkta hai har pal
khaab ho gaye hai sub such
mile gaye hum dono aise
ki kho jai hoon ek duje mein jaise
kabhi juda na huei thei kabhi
jaise kabhi juda huei he na thei
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें