सोमवार, 25 मई 2009

heavens

it just feels as if some has him self gone to the gardens of heaven collected not only the dew drops off the newly sprouted petals and the fragrance of the flowers with their own eyes dipped then in the ocean of love that is flowing in thy heart and has sent them my way through the clouds before the dawn first ray of sun shine reaches the earth it showers on my face the soft love you send every single day your love is poise so pure like the morning dew drops that come from heaven
share it

terebin

bin tere
adha hai chand
adhi andheri hai raat
aadhi roshan hai roshni
kitni ekeli si hai raat

terebin
aadhi si hasrat
aadi hai chahat
adhoori shararat
aadhi hai dil ki hararat

bin tere
aadhi si hansi
sub khushiaan adhoori
aadhi hai bharein
aadhoora hai sawan

terebin
aadhei heinmere bol
aadhi sub dhunein
aadhey hein mere geet
pheeka adoora sangeet

bin tere
pyaas aadhi meri
aadha hai pyaar bhi
adha adhoora sa man
aadhi si hoon mein bhi

terebin
aub to aaja
aaja oh chaand chaudhween key
aaja ki pure ho jaein armaan jindagi key
aaja ke puri ho chahat humari
aaj ato khil jayein gul khushi key

aub to aaj
aaja to ho rehein baharein humari
aaja ki pure ho geet humarey
aaja ki ho jaye mulakaat puri
aaj ki ho jaoon MEIN PURE KI PURI

tere bin hoon mein adhoorey ki adhoori
aub to aaj ki ho jaoon mein poorey ki puri

na janei

abhi juda huei he nah thei jaise

aaj sadeeyoon se pehle

janamo ke pare

barsoon purana milan phir hua

naya jawan pehla sa pyaar

jaisa kabhi hua na tha

najane kub kahaan

kyoon kaise chuta tera haath

kis mele mein kho gaya tera saath

aaj is bheer mein

is patheroon ki duniya mein

is endheri raat mein

is andhee duniya mein

jahaan haath ko na sujhe haath

dhund liya tere dil ki dharkanoo ne mera haath

rakh diya jo is seene par

cheir gayee jeewan ke taroon mein aise jhankaar

bhole geet sub loat aye

dil dharkta hai har pal

khaab ho gaye hai sub such

mile gaye hum dono aise

ki kho jai hoon ek duje mein jaise

kabhi juda na huei thei kabhi

jaise kabhi juda huei he na thei

sagar ki beti

pani se upji
pani ki beti
janami pani mein
pali bari pani mein
sundar
natkhat
alhardh
nadaan
pyari
bahut sari
jhat pat
bhagti fandti
kudti
uchalti
machalti
hasti khelti
kalole karti
chahakti
shore machati
jhumti khushi
se lehrati moj mein
chali chali wow
moj
chali
bekabu
bebas
jawaani
bal khati
nachti thumkati
chali chali
wow shrarat bhri

milne pritam se
mano ho rahe gi us ki
reh jai jipaas us ke

bas jai gi dil mein
kar legi ghar roohmein

par kahaan reh pati
hai lehar
kinare par kabhi
jhat pat
kal kal karti
kal aayoon gi
karke wada
wada karke
kal aaoongi
keh ke

loat jati phir
pani mein
ja basti pani mein
sagar ki beti
upji sagar se
sagar mein
mil rehti sagar se
ho pani pani

ek baar

EK BAR

ONTH SIL JAYEIN

SANSEIN THUM JAYEIN

AHSAAS SO RAHEIN

HOSH KHO RAHEIN

SUB HARART JUM JAYEIN

SUB SHARARAT SHARM JAYEIN

SAMA RUK JAYEIN

DIL GHABRA JAEIN

ROOH KAAP JAYE

JO WADA WAFA HO JAYEIN

TU JO EK BAR

AA KE SAPNE MEIN

MUSKURA JAYE

CHAHAT KI SUB HADEIN

PAAR HO JAYEINA

intjaar

ose intjaar

ki shayad

kabhi to aayeee gi

yaad humari

rose dharakta haii dil

dhrak dharak chup ho rehta

intjaar lumbe

aur lumse

sham ke saye se

pegam latei hein

lumbi

kali

andheri ekeli

raat ka

par ummed

hai subha hogi

tere milne ki

pegamm ane ki

koi aahut

koi dustak

koi dutak

koi kiran

kare giu jala kabhi to

kabhi to subh hogi

isi umeed mein hoon

har pal

mere hal pal
har ghari
har lamha
mera waqt ho tum


her dharkan
har siski
har aah
har tradap ho tum


meri chuan
meri chubhan
mare ahsaas ho tu m

meri hasi
har khanak
har cahak
meri muskaan ho tum

meri khija
meri bhaar
mere jahaan ho tum

mere lub
mere bol
meri jubaan to tum

mere aansoo
meri aahein
mere armaan ho tum

mera dard
meri dava
mera ilaaz ho tum

mera dil
meri dharkan
meri jaan ho tum

khaan ho tum
meri jaan
kahaan ho tum

kaise na janatum ne
kimere kaya ho tum

mein hoon tum tum ho mein
mein tum tum meinhoon

mera imaan ho tum

angel of love

the angle of love that
lives in me
fills my heart
every night
when i am sleep
and wispers in my ears
to shower
her blessings that i have have got

on the one who
comes to my thoughts
first of all
awake or insleep
and it so happens
that every time


it is one lonely heart
that happens to just pass
every minute of the hour
and is showered upon
with i have got

over night
in my sleep
the necter of love
as you are the one
that deserves the best
में नहीं न हूँ वोह जो आप सम्झेई हैं मुझेई .
में गम नाम बेनाम शयद hoon mein bad mnaam सुभ की धुंद जो चाट जेइगी
शाम का धुंआ जो होरेहेई गा धुंआ धान
चाय हूँ या की हूँ माया
चलवा हूँ या की हूँ सपना कोइदारावाना
संध्या हूँ की सन्नाट शमशान हूँ या की वीराना कोई
कोई भूल नहीं शूल चुबा सीने में hoon mein
इक तीस इक चीख एक हूक उठती हेई जो सीने में रेह्रेह कर
दर्द हूँ दिल का या हूँ रोगे कोई
एक सिसकी इस सुबकी इक आह हूँ दुब्बी दुब्बी
एक कतरा आन्सो जो आँख से टपका और भिखर गया
नहीं में वोह नहीं जो समझे ठी तुम मुझेई
अमृता...............................................hoon bus yoohi
kyoon ki tum kehtei ho





TUHI

kahaan ho

ho khaan

dhoonda tumhe

har sehar har sham

bheetar bahar

udaaseeoon mein

sanunatoon mein

gehrayeeoon mein

gumnami mein

kheejaaaon mein bahaaroon mein

ratoon ki tenhaayeeoon mein

subh ki pehli kiran mein

jarde ki dophehri mein

garmi ki chaoon mein

patjhar ki sookhi patteeon mein

har tasweer mein dekha kiye

har dil mein jhanka tere liye

har aahut pey chonke

ki shayad ho tum

tum kahaan ho kahaan ho tum

mere ishwar

tum to ho har soo

meri he ankhein band hein
hai naheen woe dil jo jaan sake
woe rooh jo pehchan sakei
tum hi to ho jo base ho mujh mein
meri sansei ban
jise dhekhti hoon aainei mein
jo betha meri jubaan par
sarswati ban
jo dil ki tik tik raha hai kar
aur jo yehsub keh raha
kar raha aur jee rha
hai mujh mein tujh mein hum sub mein
tuhi tuhi tuhi tuhi tuhi tuhi hai

jarei ka pyaar

dhoop bechari
thandh se sikuri pari hei aise

patte peiroon ke
kudh ko kudh se hi dakh rahe hoan jaise

jarde ke din
bhi din hein aise

sardi ko khud
sardi ho gai ho jaise

hawa bhi dekho
kaamp rahi hai kaise

jameen ke labh
bhi path rahe ehin kaise kaise

badloo ki ankhoon se
tapak rahe hein aansoo asise

naak bhi to beh rahi hai
ki patiyoon ki waise

raat raat bhar
aordh rahi hai kambal pe kambal kaise ksiae

thndhi ho rahi hai
chulhei ki aag bhi waise

jum gaye hein mere
ehsas bhi kuch aise

thandh lag gayi ho
mere pyar ko j aise

thar thara rahei hein
mere jazbat kuch aise

kampan si chir gayi hei
mere dharkanoo mein kaise kasie

aub to aaja
ki mil jaye pyar pyar se aise

ki beh ti jai
jare ki garam naram doop jaise

lo hum aa gaey

rome rome se
beh niklein jharne chahat ke

har su phel jaai
kushboo chaman ke hasseen phoon ki

jhankar chir jai
dharkano ki taaroon mein

goonj uthe mishree shahad
sa tera naam kano mein

hajaroon suraj chaan
ikatha ho sajaei mere din raat

sipiyaan bhikherein
moti meri raahoon mein

barse pankhurian
ambar se najuk phooloon ki

chanchal priyaan
khelein godi mein dharti ki

oons ki bunde
aa bethein meri palko par

khushian
umardh umardh aye mere ghar

rehmetein ho jaein
naseeb jo allah pak ki

thupthupai
mera kandha jo tu kehne ko

llo hum aa gaye
tujhei milene ko

hoon mein paas

kaya kahoon kaise kahoon kuch kaha na jai


lavsoon ne chor diya hai saath mera

jub se dekha hum ne yeh tera andaaj naya

suna karte thei pyaar mein log shayar ho jate hein

aaj kar liya eitbaar tera

intjaar ki ghariann yoon lambi ho jateen hein yeh naheen tha khyaal mera

tujh ko chaha tujh ko paa lengey yehi hai ekrar mere

bus ghari do ghari ki to hai baat

mil rahe ga sub tumhein pyar mere

ankhein kar band karoo intjaar mera

lo mein aa gayi kar lo didar mera

dal ke ankhoon mein aankhein

mil jane do lubhoon ko

bahoon ko kar lo haar gale ka gale

jhankoo tojara dil mein apne

dhekho hoon na paas tumharei

waheguru

ek junoon

chandani mein,
andheroon mein,
saweroon mein
roshni mein
dhekha hai
tujhei nihaarnei ka

ek chahat

man mein
tan mein
,dharkanoon mein
, rooh mein
mehsos ki
tujh se mil mil jane ki

ek hord

sitaro mein
,badloon mein
,hawaoon mein
ghataoon mein

lagi hei tujh se
lipat lipat rehnei ki

ek daur

baharoon mein
fijaoon mein,
lehroon mein
hawawoon mein

chal rahi hei
tujh mein bus bus rehnei ki

ek intjaar
tujh se milan ka hai
mere prahu
mere iswar
allah mere
hei mere waheguru
parte hi khat mein apna naam

ik muskurahat se khil jati hai

aankhonn mein ek chamak

sansoon mein mahk si aa jati hai

sunte hi tumhara naam

dil mein dharkan aur

badn mein kampan si chir jati hai

dekhte he tumhein

najre bolne lagti hein

aut lub sil jate hein

yuhi jub do dil mil jate hein

aur waqat thum jata hai

jameen par swarg uttar ata hai
bhati mein jal jal sona nikharta hai
beech koyleoon ke reh ke heera damkta hai


haan tum paras ho mere mein tumhari loeh(iron)
ho rahi kanchan kanchan pa ke tumhari choeh

heera samjhte ho...... to na ana kareeb
aa gaye to koso gey apne naseeb

jo garja karte hein woe badal barste nahi
sub jo damkatein hai heerei hote nahi

ek kanch ka tukra hoon jo kaat ke rakh de
koi pyar se puchkare to pighal ke beh de
poocha karte ho
kahaan chupi ho tum

dhoonda yahaan wahaan kahaan khaan
par jhanka naheen na tumne yehaan
jahaan hoon mein hameshaan hamesh sadase

teri nazar mein nazaaroon mein
tere dil mein dharkano mein teri

tere bolo mein awaaz mein teri
tere choone mein sparshoon mein tere

teri batoon mein
teri dhunoon mein geeto mein hoon tere

teri aahoon teri muskaan mein
hoon mein haseen mei teri

tere dukhmein tere sukhmein
tere gum mein khushi mein hoon mein teri

tere saaz mein teri dhoono mein
geetoon mein hoon tere

ek bar choo ke dekh apne dil ki dharkanoo ko

sun keh rahi hein thujh se yeh

rooh mein basi hoon mein teri

dharkte dil mein dharak rahi hoon teri
har saans mein jee rahi hoon mein
sang sang hoon mein ter e
tujh mein he hoon mein
mujh mein hai tu
ek duje ki jaan hein hum

karlo apni

haan kuch aisa hi karna
aankhon ke rastei
kano ke jariey
chooan
ke saath

mere bheetar bahar
char chpere ghoom ghoom kar
apni de kar najar
dikaho najare apne
de kar sunne ki shkati
siraf sunaaow dhune apni
gaoon mein geet tumhare
choo lo yoon ki
har saparsh ho siraf tumhara
dharkan meri ko sikhlao
dhak dhak naye sire se
dharke to tuhare liey
keh do aaj rooh ko meri
ho ke bus reh jai tumhari
moond jaiey palakein
bus dhek ke sapne tumhare
aur
sansei bhi gar ruk jaein to
janam loon meinphir se
hone ko tumhari
aajao bas raho bheetar mere
maanjh kar dhokar
kar lo kuwari phir se ho rahoon tuhari
meinhumhari

muhhbat

पत्थरों के इस शहर में भी मोहब्बत के दरख्त बाकी हैं...
अमृत बरसता है इस नखलिस्तानी टापू में निरंतर झर झर ....
जीवन की सारी रसभरी मुस्कान यहाँ बाकी है...
प्यार मरता नहीं तू 'अमृता' बन बरसा कर, सर्वदा निर्झर...
kal raat sone ko
takiey par rakhtei hi sar

soch jag gayi ik
mujhei jagane ko

kaun hoon
kahaan se aayi
kis duniya mein hai ghar
kyoon itni alag
itni akeli hoon
mein kaun

duniya meri mein
to hai bus
ek rooh jo basti sub mein
us rooh ki rachna hein hum sub
preet ke dhage meinpiroiey
alagalg moti hein hum
jhankei sub ki akhiyoonse WOH
bole meethei bol bhi WOH
kaayaa US ki chole sub ko
dil dharkaye dharkanWOH
ambar se barse kripa US ki
ban kar boondein oos ki jo
badal dhotei mehar ka pani
jub kub tub tub barsa dein
meharUS ki rim-jhim jo
hawain behti bhar bhar jholi pyaar ki lo
preet basi hei har kaya mein
kar dekho mehsoos to
ishq ishq karti khushboo phoolon ki
har su
dekho to
aajao ki bas rahein is duniya mein
ho rahein pee kar
amrit naam hum do
takiey par sar tikatei hi
ek ajeeb sa vichar kaundh gaya
mein kaun hoon
kaya meri bisaat kahaan mera ghar
kis duniya se hoon
mein jo itni alag itni akeli
aakhir kayoon


kayoon
mujhei naheen deekh parta
woh sub jo dekh patein hein sub
kyoon mein is andhei pan main rehti hoon
ya ki yoon keh loo
ki mein kisi doosre hi yug mein
kisi aur hi sher mein
us paar rehti hoon mein
jahaan
hai siraf
ek ishwar
aur ek us ki rachna
sub mein basti US ki rooh
beitha sub ke bheetar
jhankei sub ke aankhoon
bole mithei bol
cho le mehsoos kare kaya jo hai
us ki
aur dil bhi dharkan bhi woh
ik preet ki lari mein piroey dane hein hum sub

woh phere tasbhi
aur mehar humpar hoti jai
pyaar hi pyaar barasta gagan se
pyaar hi behta samandar mein
preet se ladi hein hawaaein yahhan ki
badal dhotei pani lagan ka
ishq he ishq phooloon ki khushboo mein
barstei megh kripa ban rim-jhim -rim -jhim
merei is shehar ka naam
allah ho ya ho bhagwaan
rub ho ya ki jesu masi
kaya tum bhi ho ushehar ke wasi
kaya tum rehtei ho yaheen