kahaan ho
ho khaan
dhoonda tumhe
har sehar har sham
bheetar bahar
udaaseeoon mein
sanunatoon mein
gehrayeeoon mein
gumnami mein
kheejaaaon mein bahaaroon mein
ratoon ki tenhaayeeoon mein
subh ki pehli kiran mein
jarde ki dophehri mein
garmi ki chaoon mein
patjhar ki sookhi patteeon mein
har tasweer mein dekha kiye
har dil mein jhanka tere liye
har aahut pey chonke
ki shayad ho tum
tum kahaan ho kahaan ho tummere ishwar
tum to ho har soo
meri he ankhein band hein
hai naheen woe dil jo jaan sake
woe rooh jo pehchan sakei
tum hi to ho jo base ho mujh mein
meri sansei ban
jise dhekhti hoon aainei mein
jo betha meri jubaan par
sarswati ban
jo dil ki tik tik raha hai kar
aur jo yehsub keh raha
kar raha aur jee rha
hai mujh mein tujh mein hum sub mein
tuhi tuhi tuhi tuhi tuhi tuhi hai
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें