सोमवार, 25 मई 2009

takiey par sar tikatei hi
ek ajeeb sa vichar kaundh gaya
mein kaun hoon
kaya meri bisaat kahaan mera ghar
kis duniya se hoon
mein jo itni alag itni akeli
aakhir kayoon


kayoon
mujhei naheen deekh parta
woh sub jo dekh patein hein sub
kyoon mein is andhei pan main rehti hoon
ya ki yoon keh loo
ki mein kisi doosre hi yug mein
kisi aur hi sher mein
us paar rehti hoon mein
jahaan
hai siraf
ek ishwar
aur ek us ki rachna
sub mein basti US ki rooh
beitha sub ke bheetar
jhankei sub ke aankhoon
bole mithei bol
cho le mehsoos kare kaya jo hai
us ki
aur dil bhi dharkan bhi woh
ik preet ki lari mein piroey dane hein hum sub

woh phere tasbhi
aur mehar humpar hoti jai
pyaar hi pyaar barasta gagan se
pyaar hi behta samandar mein
preet se ladi hein hawaaein yahhan ki
badal dhotei pani lagan ka
ishq he ishq phooloon ki khushboo mein
barstei megh kripa ban rim-jhim -rim -jhim
merei is shehar ka naam
allah ho ya ho bhagwaan
rub ho ya ki jesu masi
kaya tum bhi ho ushehar ke wasi
kaya tum rehtei ho yaheen

कोई टिप्पणी नहीं: